news

Showing posts with label Raaz Raboot. Show all posts
Showing posts with label Raaz Raboot. Show all posts

Sunday, 21 August 2016

Hummein Tummein Jo Tha Lyrics – Raaz Reboot | Papon, Palak Muchhal

Hummein Tummein Jo Tha Lyrics – Raaz Reboot | Papon, Palak Muchhal 
Hummein tummein jo tha
Woh khatam ho gaya
Mod pe aakhiri main reh gaya

Maine koshish bohat bacha lu magar
Pehle dil baad mein ghar jal gaya
Seene mein di jagah maine jis raaz ko
Aankhon se meri wo beh hi gaya

Hum me tum me jo tha
Woh khatam ho gaya
Mod pe aakhiri main reh gaya

Mere liye tu wohi hai
Badla kuch nahi
Khel hai ye waqt ka sab
Bigda kuch nahi

Hai kasam tu aake le chal mujhe phir wahin
Aye masiha mere aa zakham bhar bhi de
Dard mein doobi hui gehraiyan

Inquilab Mera Khwab Lyrics – Jammin’ w/ SANAM & Clinton Cerejo

Inquilab Mera Khwab Lyrics – Jammin’ SANAM & Clinton Cerejo
Jaane kitne din
Khoye khoye se
Aise hi kat gaye
Aadhe jaage the
Aadhe soye the
Hisson mein bant gaye

Humein mangey se bhi na mila
Jo doondh rahe the silsila
Phir andhere chhaa gaye
Sab gavake hum aa gaye…

Inquilab mera khwab mangu jawab
Suraj ki chaah mein, o…
Inquilab mera khawab mangu jawab
Sab mil jaaye raah mein, o…

Raahein lambi thi
Gehre jasbe the
Jaane kyun ruk gaye

Saari duniya thi
Maana dushman si
Hum kyun kar jhuk gaye

Aisa ek din jo ki na dhale
Humein jeene ke ho honsley
Phir khud mein paa gaye
Sab bhoola ke hum aa gaye

Inquilab mera khwab mangu jawab
Suraj ki chaah mein, o…
Inquilab mera khawab mangu jawab
Sab mil jaaye raah mein, o…

Dheeeme se aati huyi ek awaaz suni
Dur kahi dikh rahi jugnu si roshni..

Inquilab mera khwab mangu jawab
Suraj ki chaah mein, o…
Inquilab mera khawab mangu jawab
Sab mil jayein raah mein, o…

O MERI JAAN Lyrics – Raaz Raboot | KK

O MERI JAAN Lyrics – Raaz Raboot | KK
O jaana na jaana tu
Door humse kabhi
Sunn jo tu chali gayi
Mar jayenge hum abhi

Tujhse shuru, tujhpe khatam
Tujhse mukammal hai hum

O ho ho.. tere bina aadhe bhi kya
Tere bina adhure kya, tu hi bata
O meri jaan tere bina hain poore kya
Tere bina jaana kahaan?

Aa ha.. tere bina jeena kya
Tere bina marna kya
Tere bina jaana kahaan, O Meri Jaan!
Ab ke na jaa, O Meri Jaan!
O jaana na jaana tu
Door humse kabhi

Koshishein ki badi
Khud se mita de tumhein sanam
Par hai dil ka karam
Ke khud hi mit gaye hain hum

Tumse mite, tumse bane
Tumse mukammal hai hum

Aa ha ha.. tere bina aadhe bhi kya
Tere bina adhure kya, tu hi bata
O meri jaan
Tere bina hain poore kya
Tere bina jaana kahan
O Meri Jaan
Abke na jaa
O Meri Jaan

O jaana na jaana tu
Door humse kabhi

O.. jee rahe the tera
Gham-e-dil chupa ke hum sanam
Ab hai shor har taraf
Haan ishq karte hai hum

Tab ishq tha, ab ishq hai
Karte rahenge sadaa

Tere bina aadhe bhi kya
Tere bina adhure kya tu hi bata
O meri jaan
Tere bina hain poore kya
Tere bina jaana kahan
O Meri Jaan
Ab ke na jaa
O Meri Jaan
Ab ke na jaa

Raaz Aankhein Teri Lyrics – Raaz Reboot | Arijit Singh

Raaz Aankhein Teri Lyrics – Raaz Reboot | Arijit Singh


Raaz aankhein teri

Sab bayaan kar rahi
Sun raha dil teri khamoshiyan

Kuch kaho na suno

Paas mere raho
Ishq ki kaisi hai ye gehraiyan

Saaya bhi jism se

Hota hai kya judaa
Jitni bhi zor ki ho aandhiyan

Raaz aankhen teri

Sab bayaan kar rahi
Sun raha dil teri khamoshiyan

Jeena ka tu sahara

Tu hi roshni
Kehta hai har sitara
Meri tu chandni

Hum judaa ho jaaye aisa mumkin nahi

Dhoop ho tum meri
Chhaanv bhi ho tum hi
Paas ho toh door hai tanhaaiyan

Main chalunga mushqilon mein

Saaya ban tera
Iss jahan mein, uss jahan mein
Bas ek tu mera
Khusbuoon se teri mehke jism mera

Raat aayegi toh main subah laaunga

Maut aayegi toh lad jaaunga

Saaya bhi jism se

Hota hai kya judaa
Jitni bhi zor ki ho aandhiyan

Kuch kaho na suno

Paas mere raho
Ishq ki kaisi hai ye gehraiyan